JAAN-E-BAHAAR AGYAA

nazar tujh pai parii, roshnii roshnii, merai jazboon ko phir sai karaar agya
hont kii jumbashain, ankh kii lazatain, daikhtai daikhtai hii khumaar agya
har kalii muskuratii hoyii khil gayii, shadyanoon kii awaaz phir sai uthii
dil ka gulshan hii poura meheknain lagaa, jab sai ankhoon main jan-e-bahaar agayaa
bhar gayai rang merai khialon main bhii, terii khairaat dil kai ujaalon main bhii
har taraf terii khusbuu ka charcha huuaa, sab nazaaroon main tujh sai nikhaar agyaa
shoq terii mohabat main bhartaa gya, terii janib vo parvaaz kartaa gyaa
us ki meraaj pohnchii hai meraaj pai, terai kadmoon main jo aik baar agyaa
by: Sajid Fayyaz Sheikh - Paris

Comments

Top