Tahir-ul-Qadri
Raizah raizah hey Ummat ka aman-o-sakoon Haal-e-dil dostown kis zuban sey kahoon Thokarein khaathi phirthi hey yeh dar badar Khaa gia hey osey bhi fareyb-e-nazar ManziloN ka nishaaN Tahir-ul-Qadri Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri |
Fikr-e-maghrib ney kitney bhujhaey diye Mard-e-haq ney hein kitney jalaey diye Shehr-e-jaan mein charaag-e-wafa bhi nahein Shab ky honton pe harf-e-dua bhi nahein Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri |
Gulastaan mein hein tehzeeb-e-maghrib ky rang Hai dilon mein koi walwalah na umang Jism-o-jaan hein muqayd meray aaj bhi Ab barhanah saron pe sajay taaj bhi Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri |
Apna kirdaar nilaam hey kar diya Daman-e-dil janazon hi say bhar diya Ab badan mein hirarat na husn-e-amal Teri khusboo chaman mein na koi kanwal Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri |
Maqtal-e-jaan mein mujrim hein sab ey Khuda Bandagi ko sehr sey hein kab aashana Mosam-e-gul gulastan mein kab aey ga Phool, jugnu, dhank khwaab kab laey ga Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri |
Maqtal-e-jaan mein mujrim hein sab ey Khuda Bandagi ko sehr sey hein kab aashana Mosam-e-gul gulastan mein kab aey ga Phool, jugnu, dhank khwaab kab laey ga Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri |
Ummat bey nawa ko nazar kha gaee Ab muqadar pey kaali ghataa chaa gaee Zindagi, miqtal ummat bey khabar Har lutaira apna aaj hey mu’tabar Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri |
Har jagah zalamon ney sitaya bhi hey MaaN ki mamta ko shab bhar rulaya bhi hey Aj har so ghata zulm ki chaee hey Aansuwon kay samandar bohot laee hey Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri |
by: Sahibzada Hussain Mohy ud Din Qadri Memeber Supreme Council Minhaj ul Quran International |
Comments